Jaan, Kaash Yeh Ek Aisa Lafz Hai Jo Log Buhat Bar Apni Zindagi Mein Kahete Hain, Har Kisi Ke Is Lafz Ko Kahene Ki Koi Na Koi Wajah Ya Reason Zaroor Hota Hai…. Jyaada Tar Log Iska Istimaal Us Waqt karte Hain Jab Woh Zindagi Min Kuch Paa Nahi Sakte Ya Haasil Nahi Kar Sakte……
Ab Apke Kahene Sa Ya Mere Kahene Se Kya Fark Padta Hai…. Kyunki Hum Agar Kahe Bhi De To Kya,
Jo Likha Hai Usko Taqdeer Se Mitaya To Nahi Jaa Sakta, Ya Badla Ja Sakta Hai?
Lekin Yeh Kya Kam Hai Ki Hum Ek Duje Ke Hain, Yeh Kya Kam Hai Ke Hamen Ek Dusre Ka Saath Mila, Aur Ek Dusre Ka Beinteha Pyaar MIla…. Kaun Hoga Itna Khushnaseeb Jise Itna Hassen Khubsoorat Deewano Ki Tarah Chahne Wala Mila Ho…… Kaun Hoga Itna Kismat Wala Jiski Aap Jaisi Mashooka Ho…
Woh To Uparwala Mujhpar Maherbaan Ho Gaya Jo Apki Nazren Inaayat Ho Gayee….. Aur Meri Zindagi Hi Sanwar Gayee…….Yeh To Mujh Jaise Nacheez Ko Aapne Apne Pyaar Se Rang Ke Aam Se Khaas Bana Diya..
Logon Ki Lottery Lagti Hai, Meri Bhi Lagi Hai Isme Mujhe Apka Pyaar Mila, Apka Dil Jeet Liya Aur Main Duniya Ka Sabse Bada Dhanwan ban Baitha, Apke Pyaar ki Daulat Hi Sab Kuch Hai Mere Liye…..
Hai Koi Is Duniya Mein Mujhsa Naseeb Wala…….. NahiHai !!!!! Kyun Ki Mere Saath, Mere Paas Mera Shona Hai Uska Pyaar Hai Uski Wafayen Hai Aur Uski Bepanah Mohabbat Hai….
Aur Zindagi Isi Tarah Apne Deewane Se Mohabbat Karte Rahena Jaan, Iske Badle Yeh Apka Deewana App
Par Apna Sab Kuch Luta Dega, Wada Raha…………
Hamesha APKA, APKA, APKA AUR SIRF APKA
SANAM!!!!!!!
Kabhi Tadap e Dil To Kabhi Qarar Likhun Bata Apne Hissey Aur Kitna Intezar Likhun
Aaja Ki Aakar Rakhde Mere Dil Par Haath Teri Nigah Ke Sadqe Ghazlen Hazar Likhun.!
.
Comments